INDIA gathbandhan ke liye ek ke baad ek bade jhatke waali do khabrein saamne aayi hain.

Mamata Banerjee ke elaan ke baad Punjab ke CM Bhagwant Mann ne ghoshna ki hai ki vah Congress ke saath gathjod nahi karenge. Party 13 seats par chunav ladegi. 13 seats ke liye 40 naam par vichar chal raha hai.

Ummidwaron ko lekar survey karwaya ja raha hai. Isi ke saath saaf ho gaya hai ki India gathbandhan mein Congress ke saath tall-mel ko lekar sab kuch sahi nahi chal raha.

Trinamool Congress ke baad ab Aam Aadmi Party bhi usi raah par chalti dikh rahi hai. Aam Aadmi Party ne Punjab mein Congress ke saath gathbandhan karne se inkaar kar diya hai.

Gaur karne waali baat yeh hai ki ye Congress, TMC, aur Aam Aadmi Party, ye teeno hi dal vipakshi gathbandhan India Gut ka hissa hain, jo ki Lok Sabha chunaav mein kendr ke khilaaf ekjut hue hain. Lekin rajyon mein inki rahein alag hain.

Mamata Banerjee aur Aam Aadmi Party ke faisle se India gathbandhan ke bhitar ki daraarein khulkar saamne aane lagii hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *